Dark Net Kya Hai? Isme Kya Hota Hai Kya Aapko Pata Hai? | JOB EXPERT9 |

 

Dark Net Kya Hai? Isme Kya Hota Hai Kya Aapko Pata Hai? | JOB EXPERT9 |


Dark Net Kya Hai? Isme Kya Hota Hai Kya Aapko Pata Hai? | The NN Blogs |

Dark Net ke baare me aap sabhi ne kabhi na kabhi kuch na kuch suna hi hoga. Dark Net ko Dark WebDeep Web,Black Web bhi kaha jata hai. Dark Net asal me kya hota hai? Dark Net ko use karne ke liye konsa browser hai? Dark Net ko hume use karna chaahiye ki nahi? Aaj ke is blog post me mai aapko sab kuch bataunga. Toh chaliye aaj ka blog post shuru karte hai or jaante hai Dark Net ke baare me.

Dark Net Asal Me Hai Kya?

Dark Net Kya Hai? Isme Kya Hota Hai Kya Aapko Pata Hai? | The NN Blogs |

Dark Net asal me hai kya pehle mai aapko yeh batata hu. Dark Net Internet ki ek kaali duniya hai. Internet ki ek aisi duniya jisme sabhi illegal kaam hote hai. Jitne illegal kaamo tak aapki soch bhi nahi pohochegi usse kahi guna jyada illegal kaam Dark Net par kiye jaate hai. 

Ab aap me se bohot se log bolege Dark Net par sabhi illegal kaam kiye jaate hai yeh logo ka pata hai Police ko bhi pata hi hoga. Toh police illegal kaam karnewalo ko joh Dark Net par karte hai unhe pakadti kyun nahi? Police ya hum me se koi bhi Dark Net par koi bhi illegal kaam karne walo ko pakad hi nahi sakta unki zara si bhi information jaan bhi nahi sakta uska karan yeh hai ki Dark Net ko jitne bhi kaam hote hai sabhi anonymous bankar hote hai. Dark Net par kisi ko pakad na kisi ki information lena impossible hai.

Dark Net Kya Hai? Isme Kya Hota Hai Kya Aapko Pata Hai? | The NN Blogs |

Dark Net par Drug Supply, Kisi ke murder ki planning, Rape, Kidnap, Bomb Blast, Chori, Sab kuch hota hai. Duniya me jitne illegal kaam hai sabhi ke sabhi kaam Dark Net par hote hai. Umeed hai ki aapko Dark Net ke baare me acchi khasi jaankari pata chal gayi hogi ki Dark Net asal me hai kya.

Ab baat karte hai Dark Net ko use karne ke liye Chrome vagera browser use nahi kiye ja sakte kyuki agar Chrome jaise browser Dark Net, illegal kaamo ke liye use karege toh koi bhi Location pata aasani se kar sakta hai puri jaankaari aasani se nikaal sakta hai. Toh Dark Net ko use, Operate karne ke liye ek special browser hai jiska naam "Tor" hai. 

Dark Net Kya Hai? Isme Kya Hota Hai Kya Aapko Pata Hai? | The NN Blogs |

Tor Browser me Dark Net use kiya jata hai. Tor Browser me hi saare illegal kaam kiye jaate hai. Or Tor Browser me kiye jaane wale sabhi ke sabhi illegal kamo ke piche kon hai? Kitne illegal kaam Dark Net par Tor Browser me hote hai yeh koi nahi jaanta or naa hi koi zindagi bhar jaan paayega. 

Ab sabse important baat Dark Net ke baare me jaankar bohot se log aise hote hai joh sochte hai humne yeh saade Chrome, Mozilla Firefox jaise browsers toh use kar liye Chaliye ab Tor Browser ko bhi use karte hai. Toh mai aapko suggest karunga ki Tor Browser ko install, Tor Browser ko use karne ke baare me sochna bhi mat. Nahi karoge toh usme aapki hi bhalaai hai kuch bhi ho sakta hai.

Dark Net Kya Hai? Isme Kya Hota Hai Kya Aapko Pata Hai? | The NN Blogs |

Example ke liye maan lijiye aapne soch liya Tor Browser ko ek baar use karke dekhte hai asal me is Browser me kya khaasiyat hai or aapne install kar liya. Toh aisa ho sakta hai jiska Dark Net ke piche sabse bada haath ho, Joh Dark Net ke baare me puri ki puri jaankaari rakhta ho, Ho sakta hai use aapke install karne ka pata toh lagega hi voh koi na koi galat cheez kare. 

Kuch bhi ho sakta hai. Ho sakta hai aapki pure Data uske paas pohoch jaaye jiska bohot galat istemaal hoga hi. Toh mai aapko suggest karunga ki bas jaaniye Dark Net kya hai lekin ise use karne ke baare me sochiye bhi mat!

Dark Net Kya Hai? Isme Kya Hota Hai Kya Aapko Pata Hai? | The NN Blogs |

Toh umeed hai ki aapko Dark Net kya hota hai? Dark Net me kya kiya jata hai? Dark Net ko use karne ke liye konsa Browser use kiya jata hai? sab kuch aaj aapko is blog post se pata chal gaya hoga. Aapko yeh blog post kaisa laga mujhe comment karke zarur bataiye or saath me is blog post ko aapse jitna jyada ho sake utna jyada is blog post ko share kariye taaki sabhi ke sabhi logo ko Dark Net ke baare me pata chale!!

Thank You

Post a Comment

0 Comments

Translate